ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki gunche khil to sake khil ke muskuraa na sake
merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii mein rahe raushanii ko paa na sake
na jaane aah! ki un aa.Nsuuo.n pe kyaa guzarii
jo dil se aankh tak aaye mishgaan tak aa na sake
rahein Khuluus-e-muhabbat ke haadasaat jahaan
mujhe to kyaa mere naqsh-e-qadam miTaa na sake
kareinge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil
jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake
nayaa zamaanaa banaane chale the diivaane
naii zamiin, nayaa aasamaan banaa na sake
|
|






2 Comments on “ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake”
Great. Now i can say thank you!,
Excellent site. It was pleasant to me.,