Wafa k sheesh mahal main saja liya main ne
“Wafa k sheesh mahal main saja liya main ne
Wo ek dil jise patthar bana liya main ne
Yeh soch kar ke na ho taak main khushi koi
Ghamon ki ouat main khud ko chupa liya main ne
Kabhi na khatm kiya main ne roshni ka muhaaz
Agar chiraagh bujha, dil jala liya main ne
Kamal yeh hai ke jo dushman pe chalana tha
Woh teer apne kaleje pe kha liya main ne
Woh jiski adaawat main ek pyaar bhi tha
Us aadmi ko gale se lagaa liya main ne”
|
|






