www.manglavision.com

             bringing manglians online

 

 

 

poetry submited by fatima rani  send us your poetry  poetry submited by malik majid

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la

This item was filled under [ Ghazals ]

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la
Bujhta hua diya na muqaabil hawa kay la

Darya ka inteqaam dabo day na ghar tera
Saahil say roz roz na kankar utha kay la

Samaan wafa kay baandh magar soch soch kar
Is ibteda mai yun na sakhat inteha kay la

*Mohsin* ab uska naam hai sab ki zabaan par
Kis nay kaha tha usko ghazal mai saja kay la?

Garmi-e-hasrat-e-nakaam say jal jaatey hain

This item was filled under [ Ghazals ]

Garmi-e-hasrat-e-nakaam say jal jaatey hain
Hum charaghon ki tarhan shaam say jal jaatey hain

Bach nikaltey hain agar aatish-e-sayyad say hum
Sholaa-e-aatish-e-gulfaam say jal jaatey hain

Khudnumaai toh nahi shewa-e-arbaab-e-wafa
Jin ko jalna ho woh araam say jal jaatey hain

Shamma jis aag mai jalti hai numaish kay liyee
Hum usi aag mai gumnaam say jal jaatey hain

Jab bhi aata hai tera naam meray naam kay saath
Jaaney kyon log meray naam say jal jaatey hain

Rabtaa behem pay humein kia na kahaingai dushman
Aashna jab teray paighaam say jal jaatey hain

Barsat K Mousam Mein Main Nai

This item was filled under [ Ghazals ]

Barsat K Mousam Mein Main Nai
Eik Ghar Ko Jalty Daikha Hai

Jal Thal Kerti Ankhon Main
Khwabon Ko Jalty Daikha Hai

Sahra Ki Tapti Rait Main Jisko
Sarabon K Peechy Bhagty Daikha Hai

Dariya Kinary Aik Shakhs Ko Main Nai
Pyaas Se Marty ……… Daikha Hai!

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

This item was filled under [ Bewafae ]

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
yeh kon shehar ka naqsha badal GaYa…………

Tagged with: [ ]

Meri Zindagi Mujhay Ye Bata

This item was filled under [ Ghazals ]

Meri Zindagi Mujhay Ye Bata
Mujhay Bhool Kar Tujhay Kia Mila

Meri Hasraton Ka Hisaab Day
DIL Tor Kar Tujhay Kia Mila

Teray 4 DIN Kay Pyaar Say
Mujhay Umar Bhar Ka Ghum Mila

Main Toot Kar Bikhar Gai
Mujhay Torr Kar Tujhay Kia Mila

Tagged with: [ ]

 

Page 91 of 94« First...«8788899091929394»